Search This Blog

Tuesday 11 October 2016

Sad story of a aged mother

Sad story of a aged mother ek bar zarur padhe

   BETA: Hello. Maa mein tumhara beta bol raha hu. “Kaisi ho maa?”

MAA: MEIN ….. MEIN …. Thik hu beta….. yeh batao tum aur bahu dono kaise ho?

   BETA: Hum dono thik hai… Maa aap ki bahut yaad aati hai… Acha suno maa, mein aglay mahine INDIA aa raha hu….. tumhe lene.

MAA: Kya?

   BETA: Han maa… ab hum sab sath mein rahenge…. Tumhari bahu keh rahi thi.. MAA ko America le aow. waha akeli bahut pareshaan ho rahi hogi.
hello…. Sun rahi ho na maa….?

MAA: Han.. han beta…

“MAA KI AAKHON SE AASUN BEHNAY LAG GAYE…. BETA AUR BAHU KA PYAR NAS NAS MEIN DODNAY LAGA”

“Puray  5 saal baad ghar aane wala tha”

   beta akele aaya tha…
BETA: maa hume jaldi he wapas jana hai. Is liye jo bhi paisa kisi se lena hai wo lekar rakh lo. Aur tab tak mein kisi PROPERTY DEALER se makan(ghar) ki baat karta hu.

MAA: makan….???

   BETA: ha maa, ab yeh makan bechna padega.. warna kaun is ki  dekh bhal karega. Hum sab toh ab AMERICA mein rahenge
“Bete ne kam paiso mein he makan  ko bech diya

     At the airport
BETA: Maa tum yaha baitho mein andar jakar saman ko check aur boarding aur visa ka kaam nipta kar aata hu.

MAA: thik hai beta.

“KAAFI SAMAY BEET GAYA.”

AIRPORT KARAMCHATI: ”maaji… kis se milna hai.”

MAA: mera beta andar ticket lene gaya hai. Hum aaj America ja rahe hai.

AIRPORT KARAMCHATI: lekin andar toh koi bhi nahi hai, America jane wali sabhi flights dopahar mein he chali gayi.

“Karamchari andar gaya aur kuch der baad  bahar aa kar bola”

KARAMCHARI: Maaji aapka beta toh America  jane wali flight se kab  ka jaa chukka hai.

“BHUDI MAA KI AAKHON SE AANSOO AA GAYE”

kisi taran wo wapas ghar pahochi, jo ki ab bik chukka tha. Raat mein wo ghar k bahar ek road k footpath par he so gayi. Subah huyi toh ek dayalu makan malik ne ek kamra rehnay ko de diya.

Pati ki pensionse ghar ka kiraya aur khanay ka kaam chalnay laga.
samay gujarnay laga.

Ek din

MAKAN MALIK: Maaji … kyu nahi aap apnay kisi rishteydar k yaha chali jate. ab aap ki umar bahut ho chuki hai. akeli kab tak reh paogi.

MAA: han, chali toh jao , lekin kal ko mera beta aaya toh…? Yaha fir kaun uska khyal kaun rakhega?

ETNA KEH KAR USKI AAKHON SE AANSOO AANAY LAGAY.

I hope that you like this sad story of a mother. I only want to request you please don’t hurt your mother. She is the only one who cares for you the most

    I hope everyone will like it

  Phir milte hai dosto duwa me yad rakhna ap ka dost sq



   

No comments: