Search This Blog

Monday 17 October 2016

Bhai bahen ka pyar

Bhai bahen ka pyar ek bar zarur padhe

Main jab tak apne bete ke liye toy lene store pahoncha, wanha bahut bheed ho chuki thi. Aakhir , kal Christmas day tha aur sabhi apne baccho ke liye gifts khareed rahe the. Main office mein der karne ke liye khud ko kos raha tha aur koyi toy dekh raha tha jo mere son ko pasand aa jaye.
Tabhi meri nazar ek bacche par padi jo ek kone me ek sundar si doll ko hath me liya khada tha. Pas he ek bahut he budhi aurat khadi thi jo wose kah rahi thi ki “beta tumhare pas itne paise nahi hai ki tum ise khareed sako.”
“lekin dadi, main to bhagwan se pray kar ke aaya tha ki mujhe itne paise de dena ki main ye doll le sakun”.
Wos bacche ki dadi wose wahi wait karne ko kah kar baki saman ki billing karane chali gai.
Main wos bacche ke pas gaya to maine pucha kya bat hai beta? Ye doll kis ke liye? Mujhe ajeeb lag raha tha kyun ki boys to doll se khelte nahi.
Ye doll meri choti sister ke liye leni hai. Wose ye bahut pasand thi.
Ok, to woh kyun nahi aayi ye doll lene?
Nahi woh nahi aa sakti. Woh bhagwan ke pas chali gai hai aur mere papa kah rahe the ki mom bhi wahi jane wali hai. Main isiliye ye doll lena chahta hun ki jab mom bhagwan ke pas jaye to ye doll meri choti sister ko de de. Wose ye doll bahut pasand thi.
Mera dil wos bacche ka apni sister k liye pyar                   dekh kar bhar aaya. Maine kaha – chalo, ek bar fir ginte hai. Shayad tumhare pas itne paise ho jis se tumhare sister ke liye ye doll aa jaye. Aur is bar maine uske paise ginte huye apne pas se kuchh rupaye mila diye.
Bachcha to khushi se uchhal pada. Ab main ye doll bhi le paunga aur mom ke liye ek pink rose bhi. Meri mom ko rose bahut pasand hain. Thank You God! Mujhe pata tha ki tum meri prayer jaroor sunoge.
Maine apne bachche ke liye ek toy khareeda aur  dil mein santosh aur ek dard bhari khushi le kar wahan se laut aaya.
Agle din meri nazar akhbar me ek khabar par padi. Wos me likha tha ki kuch din pahle ek road accident mein ek speeding car ne ek choti si ladki aur uski mom ko kuchal diya tha. Ladki to on the spot he mar gai lekin uski mom hospital mein ICU mein thi jiska bachna bahut mushkil tha.
Mujhe laga ki kahin ye usi bacche ki mom aur sister to nahi the.
Aur agle din he akhbaar mein wos mom ke marne ki bhi khabar aai. Maine socha main uske antim rites ke liye zaroor jaunga. Main jab vahan gaya to maine dekha ki kafan ke upar ek pink rose aur wos bacche aur uski sister ki photo rakhi thi.
Us bachche ke pyaar ko dekh kar meri aankhein ek bar fir bhar aai.
Friends, pyar yani love ka matlab sirf boy aur girl ke beech ka romantic pyar nahi hota. Zindagi ke har rishte aur har umar me pyaar hota hai. bat sirf itni hai ki ham is pyaar ko pahchane aur iski kadar karein.
   i hope everyone will like it

Phir milte hai dosto duwa me yad rakhna ap ka dost sq

No comments: