Search This Blog

Saturday 8 October 2016

Hathi aur rassi

Hathi aur rassi dosto ek bar zarur padhna 

   EK admi ek din aisi jagha se gujar raha tha janha bahut sare hathi bandhe huye thay. Achank wos ki nazar hathi k pairo ki taraf gayi aur woh yeh dekh kar hairan ho gaya ki itna bada janwar sirf ek rassi se khute se bandha huwa tha. Jab k hathi chahe to ek jhatke se wos rassi ko Tod kar ja sakta tha. Lekin kuch to karan honga ki hathi rassi tod kar nahi jata.

   Wos admi ne wos hathi k trainer se pucha k bhai yeh hathi sirf ek rassi se kaise bandhe ho.

   Trainer ne jawab diya. Dekho jab yeh hathi bahut chote thay, tab se hum unhe itni he moti rassi se bandhte arahe hai. Tab yeh rassi todna won ki taqat k baher tha. Jaise jaise yeh hathi bade hote hai won ki taqat to badhti hai. Per won k man me yeh bat baith chuki hai ki hum is rassi ko Tod nahi sakte. Is liye woh is rassi se bandhe rahte hai aur kahi nahi jate yeh sun kar woh admi chauk gaya 

   Dosto is tarha hum bhi apne man ki apne soch ki had me bandhe rahte hai. Aur unhe Tod kar tarakki k path per agey nahi badh pate. Hamare man ki seemit soch he hamara Rasta rok leti hai is liye dosto hamare man ka yeh dar chor k agey badho yeh mat socho k hum yeh nahi kar sakte  bas dil me aur dimag me yahi rakho k bas hame yeh karna hai aur hum ise kar sakte hai aur agey badhte jao ap ko ap ki manzil zarur milengi 

  I hope everyone will like it 

  Phir milte hai dosto duwa me yad rakhna ap ka dost sq

No comments: