Search This Blog

Friday 7 October 2016

Maa ka pyar

Maa ka pyar ek bar zarur padhe 

   Sardiyo k mausam me ek budhi aurat apne ghar k kone me thand se tadap rahi thi jawani me wos k pati ka dehant ho gaya tha ghar me ek chota beta tha wos k bete k ujwal bhavishye k liye wos maa ne ghar ghar ja k kaam kiya kaam karte karte bahut thak jati thi lekin phir bhi aram nahi karti thi hamesha ek bat yad karti thi phir kaam me lag jati thi k jis din beta layak ho jaenga tabhi aram karengi 

   Dekhte dekhte samaye beet gaya maa budhi ho gayi aur bete ko ek acchi job mil gayi kuch samai bad bete ki shadi kardi aur ek baccha ho gaya ab budhi maa bahut khush thi wos k jivan ka sab se bada sapna pura ho gaya wos ka beta layak ho gaya ab wos ka beta wos ki har khwahish puri karenga 

   Lekin yeh Kya bete aur bahu k pas maa se bat karne tak ka bhi waqt nahi hota tha bas itna farak pada tha maa k jivan me k pahle woh baher k logo k jhute bartan dhoti thi ab apne bahu bete k. pahle woh baher k logo k kapde dhoti thi ab apne bahu aur bete k 

   Phir bhi khush thi kyu k aulad to wos ki thi sardiyo ka mausam agaya tha ek tuti char payi pe ghar k bilkul baher wale kone me ek fate kambal me simat kar maa leti thi aur soch rahi thi aaj beta aenga to wos se kahungi Teri maa ko bahut thand lagti hai ek naya kambal la k de dena 

    Sham Ko Beta Ghar Aya To maa ne bola beta thand bahut hai mujhe thand bahut lagti hai aur bat thand ki nahi hai main budhi ho gayi hu is liye sharir me Jan nahi hai is fate kambal me thand rukti nahi hai beta kal ek kambal la k de dena 

   Beta ghusse me bola is mahine ghar k rashan me aur bete k admission me bahut kharacha ho gaya hai pote ko school me admission karwaya hai kuch paise hai per wos bacche ka sweater Lena hai tumhari bahu k liye ek shawl Lena hai tum to ghar me he rahti ho sahan kar sakti ho Hume baher kam karne k liye jana hota hai sirf 2 mahino ki sardi nikal lo agli sardi me dekhenge bete ki bat sun kar maa chup chap wos kambal me simat k so gayi 

     Subha dekha to maa ab is duniya me nahi thi bete ne sab ko khaber di maa ab is duniya me nahi rahi sab dost rishtedar parosi ekhatte huye bete ne maa ki antim yatra me koyi kami nahi chori thi maa ki bahut badhiya arthi sajayi thi bahut mahengi shawl maa ko udhya tha 

   Sari duniya antim sanskar dekh k kah rahi thi Hume bhi har janam me bhagvan aisa he beta de mager won logo ko Kya pata tha k marne k bad bhi ek maa thand se tadap rahi thi sirf ek kambal k liye sirf ek kambal k liye 

     Dosto ager Aaj ap k maa bap ap k sath hai to ap bahut khush kismat hai Aaj ap jo kuch bhi ho won ki mahnat aur ashirvad se ho jite ji apne maa bap ki seva karna ap ka pahla farz hai kyu ki unhone tumhare liye apna pura jivan de diya hai 

    I hope everyone will like it 

Phir milte hai dosto duwa me yad rakhna ap ka dost sq

    

No comments: