Search This Blog

Sunday, 16 November 2025

đź’”Poetry of Broken Heartđź’”

Hua main mohabbat mein barbaad… par dil ne kaha,

“Sohail, dard se guzarna bhi ishq ki ada toh kya hua…”


Jise paane ka hausla saalon tak tere andar zinda raha,

Wahi ishq ek din tujhe hara gaya, Sohail… toh kya hua…


Qasam thi saath chalne ki, hak tha wafa ka,

Woh nibha na saki… par tera dil saaf tha, Sohail, toh kya hua…


Tu aaj bhi use bewafa kehne se qataraata hai,

Kyunki teri mohabbat sachchi thi, Sohail… woh khaas na bana, toh kya hua…


Jisko tufaanon mein apni kashti ka sahara diya,

Usne teri hasti mita di… par tera jazba na mita, Sohail, toh kya hua…


Manzil ke kareeb usne dagaa di… par tu rukka nahi,

Mohabbat ne tujhe bad-naseeb kaha, Sohail… toh kya hua…


Tu aaj bhi uski khushi ki dua karta hai,

Woh tere lakh chaahne ke baad bhi tera na hua… Sohail, toh kya hua…


Jiske liye tu apni khushiyaan lutaata raha,

Usne tujhko dil se na chaha Sohail… toh kya hua…

No comments: